hijr ka gham bhi nahin vasl ki parva bhi nahin
dil bhi pahlu men nahin dil ki tamanna bhi nahin
nahin darkar nahin mujh ko gham-e-chara-e-gham
haan main divana huun be-shak magar itna bhi nahin
tum na sharmao na ghabrao main kahta bhi huun kuchh
zikr-e-va.ada bhi nahin ḳhvahish-e-ifa bhi nahin
joshish-e-girya ik e.ajaz hai varna dil-e-zar
aḳhir ik buund hai badal nahin dariya bhi nahin
be-ḳhudi hashr men kya yaad dila.unga use
ḳhud mujhe yaad ab us shoḳh ka va.ada bhi nahin
vaqt pursish hai abhi fursat-e-ehsan hai abhi
aa.iye main abhi zinda bhi huun achchha bhi nahin
ab kahan lazzat-e-ehsas-e-taraqqi ‘mani’
yaas men jazar-o-mad-e-dard-e-tamanna bhi nahin
Leave a Reply