kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin rahta hai
vo to ik dard hai jo dil ke qarin rahta hai
chand par apne qadam aap ne kyuun rok liye
ek gaam aur ki suraj bhi yahin rahta hai
sham.a ki tarah pighalta huun main lamha lamha
mere ehsas men ik sho.ala-jabin rahta hai
dil ke darvaze pe ab kis ko sada dete ho
muddaten guzrin yahan koi nahin rahta hai
vo jo suraj ko hatheli pe liye phirta tha
unhin tarik si galiyon men kahin rahta hai
jin fazaon men tamannaon ka dam ghaTta hai
haan mire daur ka fankar vahin rahta hai
jaane ye shauq ki hai kaun si manzil ‘ḳhusrav’
main kahin rahta huun dil mera kahin rahta hai
Leave a Reply