hayat apni sanvarun khuli kitab karun
irada ye hai tujhe sahab-e-nisab karun
tamam umr isi aarzu men guzri hai
tire mizaj ko parkhun koi ḳhitab karun
rahun zamin par aza.em hain asmanon ke
main chahti huun charaghon ko mahtab karun
tu apne aap ko a.ina sa bana pahle
vagarna kaise bhala ḳhud ko be-hijab karun
alag ye baat ki ‘zaryab’ huun savalon men
agar main zid pe utar ja.un la-javab karun
Leave a Reply