• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hawas-Nasib Nazar Ko Kahin Qarar Nahin

Hawas-Nasib Nazar Ko Kahin Qarar Nahin

sahir-ludhianvi

havas-nasib nazar ko kahin qarar nahin

main muntazir huun magar tera intizar nahin

hamin se rang-e-gulistan hamin se rang-e-bahar

hamin ko nazm-e-gulistan pe ikhtiyar nahin

abhi na chhed mohabbat ke giit ai mutrib

abhi hayat ka mahaul khush-gavar nahin

tumhare ahd-e-vafa ko main ahd kya samjhun

mujhe khud apni mohabbat pe e’tibar nahin

na jaane kitne gile is men muztarib hain nadim

vo ek dil jo kisi ka gila-guzar nahin

gurez ka nahin qaail hayat se lekin

jo sach kahun ki mujhe maut nagavar nahin

ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne

ki ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Uski Chah Mein Nam Nahin Aane Wala

poet

Is Tarah Aah Kal Hum Us Anjuman Se Nikle

Wahi Na Milne Ka Gham Aur Wahi Gila Hoga

Aao Taqdir Ko Tadbir Bana Kar Dekhen

Tumhaare Wasl Ka Bas Intizar Baqi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet