• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hawas Ki Duniya Mein Rahne Walon Ko Main Mohabbat Sikha Raha Hun

Hawas Ki Duniya Mein Rahne Walon Ko Main Mohabbat Sikha Raha Hun

havas ki duniya men rahne valon ko main mohabbat sikha raha huun

jahan pe daman bichhe hue hain vahan par ankhen bichha raha huun

surud-e-gham par bhi zindagi men tarab ke dhare baha raha huun

main un ke saz-e-jafa par apni vafa ke naghme suna raha huun

ilahi duniya men aur kuchh din abhi qayamat na aane paa.e

tire bana.e hue bashar ko abhi main insan bana raha huun

adam ke tarik raste men koi musafir na raah bhule

main sham-e-hasti bujha kar apni charagh-e-turbat jala raha huun

main apni tarz-e-jun.un ke sadqe mira junun bhi ajab junun hai

kisi ka daman pakaḌ raha huun kisi se daman chhuḌa raha huun

abhi to aaya hi tha vahan se kabhi na jaane ka ahd kar ke

magar mohabbat zahe mohabbat abhi vahin se phir aa raha huun

mili hai kanTon ki mujh ko qismat magar hai phulon ki meri fitrat

jahan huun pamal-e-gham huun lekin jahan bhi huun muskura raha huun

chala hai shauq-e-sujud le kar ilahi ye kis ke dar ki janib

abhi to pahla qadam uTha hai abhi se main sar jhuka raha huun

tiri nazar kya main apne dil se bhi gir ke jaata huun anjuman se

jahan ki hoti hai ḳhatm duuri vahan se bhi duur ja raha huun

ye kis ke kuche men gamzan huun ye astan kis ka samne hai

main apne qadmon par aaj ‘bismil’ sar-e-do-alam jhuka raha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisu Ko Mujhse Ne Mujhko Kisu Se Kaam Rahta Hai

etibar-sajid

Phulon Mein Wo Khushbu Wo Sabahat Nahin Aai

Fulan Se Dekho Falane Ki Baat Karta Hai

quli-qutub-shah

Tere darsan Ki Main Hun Sain Mati

poet

Sahra Pe Gar Junun Mujhe Lawe Itab Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet