hava se istifada kar liya hai
charaghon ko libada kar liya hai
bahut jiine ki ḳhvahish ho rahi thi
so marne ka irada kar liya hai
main ghaTta ja raha huun apne andar
tumhen itna ziyada kar liya hai
jo kandhon par uTha.e phir raha tha
vo ḳhema istada kar liya hai
na tha kuchh bhi miri pechidgi men
to main ne ḳhud ko saada kar liya hai
Leave a Reply