hava-e-taza men phir jism o jaan basane ka
daricha kholen ki hai vaqt us ke aane ka
asar hua nahin us par abhi zamane ka
ye khvab-zad hai kirdar kis fasane ka
kabhi kabhi vo hamen be-sabab bhi milta hai
asar hua nahin us par abhi zamane ka
abhi main ek mahaz-e-digar pe uljhi huun
chuna hai vaqt ye kya mujh ko azmane ka
kuchh is tarah ka pur-asrar hai tira lahja
ki jaise raz-kusha ho kisi khazane ka
Leave a Reply