Hawa Bhi Garm Hai Chhae Hain surKH Baadal Kyun

havā bhī garm hai chhā.e haiñ surḳh bādal kyuuñ

ye zulm kis pe huā roī ḳhāk-e-maqtal kyuuñ

jo ḳhvāb dekhtī aa.ī huuñ apne bachpan se

adhūrā ḳhvāb vo hotā nahīñ mukammal kyuuñ

jo aarzū thī ki hoñ ird-gard gul-būTe

to tum ne nāg-phanī ke ugaa.e jañgal kyuuñ

ham apne shauq kī duniyā meñ gum the kuchh aise

samajh na paa.e ki bhīgā hai maañ kā āñchal kyuuñ

sukūt se bhī samundar ke ḳhauf aatā hai

haiñ kyuuñ ḳhamosh ye maujeñ nahīñ hai halchal kyuuñ

maiñ jab sukūn kī manzil se chand gaam pe huuñ

sadā.eñ detā hai maazī mirā musalsal kyuuñ

vo kaun apnā ‘shifā’ yaad aa gayā tum ko

tumhārī aañkh huī jā rahī hai jal-thal kyuuñ

Leave a Comment