hausle mayus zauq-e-justuju nakam hai
ye dil-e-na-mahram-e-anjam ka anjam hai
aankh kya hai husn ki ranginiyon ka aa.ina
dil hai kya ḳhun-e-tamanna ka chhalakta jaam hai
dijiye bimar-e-ulfat ki jigar-dari ki daad
naza.a ka aalam hai honTon par tumhara naam hai
phir vo yaad aa.e hui mad.hosh dil ki ka.enat
phir uTha dard-e-jigar phir kuchh mujhe aram hai
ḳhak-dan-e-dahr men taskin ka juuya na ho
aah jab tak dil dhaḌakta hai kahan aram hai
vo to dil men dard ki duniya basa kar chal diye
mujh ko har tar-e-nafas ik maut ka paigham hai
vasil-e-mizrab-e-ḳhamoshi hai har tar-e-nafas
us se kah do ab tire bimar ko aram hai
kar raha huun doston ke zo.am par tark-e-vatan
shayad ab aghaz-e-daur-e-gardish-e-ayyam hai
Leave a Reply