hathon ko utha jaan se akhir ko rahunga
par dil hai rafiq is ko kabhi tujh ko na dunga
be-bosa-e-lab ke to kabhi main na talunga
go galiyan tu dega to ban jaunga gunga
gar vasl ki thahregi na tujh se to marunga
par bar-e-judai ki musibat na sahunga
main ghair ko kab paas tire baithne dunga
gar vo nahin uthne ka to la-haul padhunga
Leave a Reply