hasti ko jamal de raha huun
main teri misal de raha huun
ma.ani pe chaḌha ke ghaza-e-nau
lafzon ko ḳhayal de raha huun
maazi pe nigah hai apni gahri
farda ko main haal de raha huun
mushkil bhi hai aur sahal bhi hai
aisa main saval de raha huun
shishagari hai ajiib meri
a.ine ko baal de raha huun
mahaul men hai kuchh aisi ḳhunki
jazbat ko shaal de raha huun
kyuun ariz-e-vaqt ab na nikhre
fan ka hasin ḳhaal de raha huun
imroz ke jitne hain masa.il
farda hi pe Taal de raha huun
phans kar yuun shikanje men gunah ke
makḌi ko main jaal de raha huun
gumrah zamana hai to kya gham?
sham-e-mah-o-sal de raha huun
dil TuuT gaya to kya ‘karamat’
paigham-e-visal de raha huun
Leave a Reply