• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hasrat-O-Yas Ka Ek Naqsh-E-Pareshan Samjha

Hasrat-O-Yas Ka Ek Naqsh-E-Pareshan Samjha

poet

hasrat-o-yas ka ik naqsh-e-pareshan samjha

hal-e-uftada dil-e-sham-e-ghariban samjha

qabil-e-dad hai us shaḳhs ki rangini-e-fikr

dil-e-ḳhun-gashta ko jo ziist ka unvan samjha

be-ruḳhi ne tiri gharat kiya mamura-e-shauq

aaj dekha to use shahr-e-ḳhamoshan samjha

yaas ne chhin li kya ishq ki baligh-nazari

vus.at-e-kaun-o-makan ko jo ye zindan samjha

kuchh na ban aaya jo sar dhun ke to zehn-e-sha.ir

daftar-e-husn ko tasnif-e-baharan samjha

ḳhosha-chin shauq hai us tab-e-rasa ke fan ka

jis ke afkar ko main jannat-e-imkan samjha

the vo ḳhalvat-kada-e-naz ke parde ‘qazi’

barg-e-gul jin ko mira dida-e-hairan samjha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Wahi Meri KHushi Ka Masala Hai

poet

Subhen Kirnen Tha Main, Phir Bhi Shamein Phir Bhi Raat

poet

Ghair Ke Ghar Ban Ke Dali Jaegi

Habs-E-Darun Pe Jism-E-Giran-Bar Sang Tha

Yun Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achchha Lag Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet