hasil-e-umr hai jo ek kasak baaqi hai
meri sanson men abhi teri mahak baaqi hai
mujh se kya chhin saka tu ki abhi tak mere
paanv ke niche zamin sar pe falak baaqi hai
phir tujhe aur mujhe aur kahin jaana hai
ham-safar saath to chal jitni saḌak baaqi hai
ye koi kam to nahin dost juda ho kar bhi
apne lahje men shikayat ki jhalak baaqi hai
is se behtar tha mujhe rah-nashini ka yaqin
kaisi manzil hai pahunchne pe bhi shak baaqi hai
teri har shaam sitaron se sajana hai mujhe
jab tak ankhon pe miri ik bhi palak baaqi hai
Leave a Reply