hargiz na raah paai farda-o-di ne dil par
rahti hai ek halat barah mahine dil par
sakte men hain mah-o-mehr dariya pade hain be-bahr
hai sakht ghair-mauzun duniya zamin-e-dil par
shoala charagh men hai sauda dimagh men hai
sabit qadam huun ab tak din-e-mubin-e-dil par
ya-ayyohal-majazib hai bas-ki zer-e-tartib
majmuatul-fatava qaul-e-matin-e-dil par
likh lo ye meri raae kya kya sitam na dhaae
kal dil ne aadmi par aaj aadmi ne dil par
ye ranj na-kashida ye jeb na-darida
ai ishq rahm haan rahm in tarkin-e-dil par
maano ye ghar na chhodo duniya ko dekhte ho
jo kuchh guzar chuki hai is na-makin-e-dil par
ik sar hai na-kashuda ik qaul na-shanuda
ik naghma na-saruda tarz-e-navin-e-dil par
padta hai jasta jasta maddham sa aur shikasta
ik mah-e-nilmin ka partav nagin-e-dil par
sau baar idhar se guzra vo atishin chaman sa
ik barg-e-gul na rakkha dast-e-yamin-e-dil par
khun-basta chashm-e-hairan paivasta laan-gardan
be-did balki be-dard balki kamine dil par
tufan utha rakha tha ankhon ne vah-va ka
us ki nazar nahin thi kal afrin-e-dil par
rangin to bahut hai duniya magar mahashay
dhabbe se pad gae hain kuchh astin-e-dil par
vo mah-e-naznin hai ya sarv-atishin hai
ya fitna-e-qayamat barpa zamin-e-dil par
sab na-malamaton ko sab be-karamaton ko
sab sar-salamaton ko laana hai din-e-dil par
‘javed’ ko dikha kar kahta hai sab se dilbar
udham macha rakha tha in bhai-ji ne dil par
faruqi aur ahmad-mushtaq ko tahayyat
shakh-e-ghamgin-e-dil par hisn-e-hasin-e-dil par
Leave a Reply