• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Harf-E-Taza Nai Khushbu Mein Likha Chahta Hai

Harf-E-Taza Nai Khushbu Mein Likha Chahta Hai

parveen-shakir

harf-e-taza nai khushbu men likha chahta hai

baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai

ek lamhe ki tavajjoh nahin hasil us ki

aur ye dil ki use had se siva chahta hai

ik hijab-e-tah-e-iqrar hai maane varna

gul ko malum hai kya dast-e-saba chahta hai

ret hi ret hai is dil men musafir mere

aur ye sahra tira naqsh-e-kaf-e-pa chahta hai

yahi khamoshi kai rang men zahir hogi

aur kuchh roz ki vo shokh khula chahta hai

raat ko maan liya dil ne muqaddar lekin

raat ke haath pe ab koi diya chahta hai

tere paimane men gardish nahin baaqi saaqi

aur tiri bazm se ab koi utha chahta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jis Mein Ek Sahra Tha Ek Diwana Tha

Ajib Tajraba Aankhon Ko Hone Wala Tha

ajay-sahaab

Jang-e-Hayat-O-Maut Mein Kya Kya Nahin Hua

Pyas Dariya Ki Nigahon Se Chhupa Rakkhi Hai

Hua Hai Ahl-E-Sahil Par Asar Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet