harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbar miyan
sar jhukae hain khade sab tire sardar miyan
koi vardi na sanad hai use darkar miyan
rahnuma mera ho bas sahab-e-kirdar miyan
kaise hoti hai sahar kis ko sahar kahte hain
vahi jaane jo raha raat men bedar miyan
tum sahara mujhe kya doge kabhi mushkil men
tum to khud se bhi nazar aate ho bezar miyan
haae kya soch ke nikle the kabhi ghar se tum
mangte phirte ho ab saya-e-divar miyan
raushni bhi nahin in men na hai khushbu koi
kya kitaben tiri kya hain tire ashar miyan
khuun kiya dil ko liya daagh jigar par main ne
mujh se puchho ki hai kya ishq ka azar miyan
gham na siine se lagae main jahan se jaata
mujh ko duniya men jo milta koi gham-khvar miyan
har taraf jalva-numai thi usi ki ‘masud’
tum rahe phir bhi yahan tishna-e-didar miyan
Leave a Reply