haram kahta hai kuchh dair-e-butan kuchh aur kahta hai
tariq-e-manzil-e-varaftgan kuchh aur kahta hai
har ik se un ka vahshi dastan kuchh aur kahta hai
nahin hota jahan koi vahan kuchh aur kahta hai
amir-e-karvan kya hai khuda-e-karvan ham the
magar ab to ghubar-e-karvan kuchh aur kahta hai
har ik jalve men ik parda har ik parda men ik jalva
ba-har-surat sahab-e-darmiyan kuchh aur kahta hai
janab-e-shaikh ke lab par khuda ka naam aata hai
subuhi-kash magar vaqt-e-azan kuchh aur kahta hai
ye maana jannat-e-husn-e-nazar thi zindagi apni
magar khamyaza-e-umr-e-ravan kuchh aur kahta hai
miri hasti ka har zarra hai gunjaish-talab ab tak
ki pa kar vusat-e-kaun-o-makan kuchh aur kahta hai
qafas men laakh saman-e-tarab sayyad hai lekin
mira naala ba-nam-e-ashiyan kuchh aur kahta hai
nahin hoti hai hujjat khatm tanha ab-o-dana par
are sayyad asir-e-be-zaban kuchh aur kahta hai
utari ja rahi hain qaidiyon ki bediyan lekin
nishan-e-halqa-e-tauq-e-garan kuchh aur kahta hai
ajab uljhan men daala tu ne o munh pherne vaale
ki dil kuchh aur kahta hai guman kuchh aur kahta hai
mira har ek sajda muntazir hai qaul-e-faisal ka
jabin kuchh kah rahi hai astan kuchh aur kahta hai
kalam-e-‘mir’-o-‘mirza’ qabil-e-sad-naz hai ‘afqar’
magar ‘momin’ ka andaz-e-bayan kuchh aur kahta hai
Leave a Reply