
Shafiq Saleemi
be-nam dayaron ka safar kaisa laga hai
ab lauT ke aa.e ho to ghar kaisa laga hai
kaisa tha vahan garm do-pahron ka jhulasna
barsat-ruton ka ye nagar kaisa laga hai
din men bhi dahal jaata huun abad gharon se
saaya sa mire saath ye Dar kaisa laga hai
honTon pe larazti hui ḳhamosh sada ka
ankhon ke darichon se guzar kaisa laga hai
angan men lagaya tha shajar chaao se main ne
phalne pe jo aaya to samar kaisa laga hai

Leave a Reply