
Mani Jayasi
har taraf shor hai ‘mani’ chaman-ara.i hai
tu bhi phir dars-e-fughan de ki bahar aa.i hai
be-talab sab ne yahan dad-e-sitam paa.i hai
hashr hai naala na karne men bhi rusva.i hai
vaqa.i kuchh nahin ya kuchh nazar aata hi nahin
dil-e-mahjur ye zulmat hai ki tanha.i hai
mudda.a mere junun ka to hai tahsin-e-bahar
aur duniya ye samajhti hai ki sauda.i hai
astan jazb-e-jabin hai magar ai fitrat-e-ishq
main huun aur hausla-e-nasiya-farsa.i hai
aa ki imdad-e-tasavvur se bhi mahrum huun ab
aur dil sajda-e-aḳhir ka tamanna.i hai
sab rahe sirf badalta raha mahfil ka nizam
tu hai aur silsila-e-anjuman-ara.i hai
saare aalam ki raqabat ka junun hai mujh ko
aur buniyad-e-junun aap ki yakta.i hai
tu bhi hai un ke liye manzar-e-ibrat ‘mani’
jin ka yuun dida-e-hasrat se tamasha.i hai

Leave a Reply