har tamashai faqat sahil se manzar dekhta
kaun dariya ko ulatta kaun gauhar dekhta
vo to duniya ko miri divangi khush aa gai
tere hathon men vagarna pahla patthar dekhta
aankh men aansu jude the par sada tujh ko na di
is tavaqqoa par ki shayad tu palat kar dekhta
meri qismat ki lakiren mere hathon men na thiin
tere mathe par koi mera muqaddar dekhta
zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta
dubne vaala tha aur sahil pe chehron ka hujum
pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta
tu bhi dil ko ek khuun ki buund samjha hai ‘faraz’
aankh agar hoti to qatre men samundar dekhta
Leave a Reply