har talabgar ko mehnat ka sila milta hai
but hain kya chiiz ki DhunDhe se ḳhuda milta hai
vaqt par kaam na aaya dil-e-nashad kabhi
TuuT kar ye bhi usi shoḳh se ja milta hai
vo jo inkar bhi karte hain to kis naaz ke saath
mujh ko milne men na milne ka maza milta hai
ye kudurat ye adavat ye jafa ḳhuub nahin
mujh ko miTTi men mila kar tumhen kya milta hai
‘nuh’ ham ko nazar aaya na yahan but bhi koi
log kahte the ki ka.abe men ḳhuda milta hai
Leave a Reply