• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har Samt uDi Gard Mere Shahr-E-Guman Mein

Har Samt uDi Gard Mere Shahr-E-Guman Mein

har samt uḌi gard mire shahr-e-guman men

mahsur tamanna hai zamane ke dhuan men

sannaTe ka jo qissa sunane men magan hai

raqsan tha kabhi shor usi ujḌe makan men

ḳhushiyon ko badan par jo lapeTe hue kal tha

hai aaj sharabor vahi dard nihan men

ma.adum hua gul ka nishan sahn-e-chaman se

ḳhushbu hai magar ab bhi basi bad-e-ravan men

har ḳhvab ki ta.abir nazar aa.i hirasan

napaid hua josh-e-junun mard-e-javan men

farda ki gali men vo baḌa kaam karegi

ik zid hai khilaune ki jo ma.asum fughan men

guzri hui saa.at ko palaTne men laga hai

kuchh baat nazar aa.i use kar-e-ziyan men

pur-kaif hui ‘sahni’ har saans ki aahaT

mauhum ishara jo mila vaqt-e-giran men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-allahabadi

Bahut Raha Hai Kabhi Lutf-E-Yar Hum Par Bhi

Meri Sada Ko Hawaen Bhi Qaid Karti Hain

abdul-ahad-saaz

Nani-Aman Ki Wafat Par Ek Nazm

Jab Koi Sach Baat Chhupani paDti Hai

riyaz-khairabadi

Gumbad-E-Madfan Hai Ya Hai Aasman Baala-E-Sar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet