har naqsh-e-pa ko manzil-e-jan manna pada
muddat ke baad jab bhi tira samna pada
aksar naqab-e-zabt hamen thamna pada
jab bhi fasil-e-shab ko hamen phandna pada
har baar bhulne ko ghamon ki aziyyaten
har rishta-e-umid naya bandhna pada
har aarzu se ham ko mili taaza zindagi
har aarzu ka ham ko lahu chatna pada
ki thi haram khud-kushi mere khuda ne kyuun
be-vajh zindagi ka safar katna pada
Leave a Reply