har laghzish-e-hayat par itra raha huun main
aur be-gunahiyon ki qasam kha raha huun main
naz-afrin mira bhi ḳhiram-e-niyaz dekh
mahshar men muskurata hua aa raha huun main
har ashk-e-dil-gudaz mai-nau-kashida hai
saghar se sho.ala ban ke uḌa ja raha huun main
zarb-ul-masal hain ab miri mushkil-pasandiyan
suljha ke har girah ko phir uljha raha huun main
chalta hai saath saath zamane ke kya karun
ruḳh par hava ke bahta chala ja raha huun main
sab rishte ab to TuuT chuke sabr-o-zabt ke
angḌa.iyon ko rok uḌa ja raha huun main
hathon se chhuTne ko hai ab dil ka aa.ina
tum to sanvar rahe ho miTa ja raha huun main
kya fa.eda zamane se Takra.un kyuun ‘siraj’
ḳhud apne raste se haTa ja raha huun main
Leave a Reply