har kasi ko kab bhala yuun mustarad karta huun main
tu hai ḳhush-qismat agar tujh se hasad karta huun main
bughz bhi siine men rakhta huun amanat ki tarah
nafraten karne pe aa ja.un to had karta huun main
koi apne-ap ko manvane vaala bhi to ho
manne men kab kasi ke radd-o-kad karta huun main
kuchh shu.uri sat.h par kuchh la-shu.uri taur par
kar-e-fikr-o-fan men ab sab ki madad karta huun main
is liye mujh se ḳhafa hain ahl-e-gulshan aj-kal
rang jhuTlata huun ḳhushbu mustarad karta huun main
mere jazbon se bachao nek-dil logo mujhe
roz o shab in bad-ma.ashon ki madad karta huun main
dusron ke vaste likkha hua lagta hai jhuuT
apni sachcha.i ko akasr aap rad karta huun main
rang par aa.i hui hai ab junun-ḳhezi meri
roz o shab tauhin-e-arbab-e-ḳhirad karta huun main
tauq gardan men pahanta huun lahu ki dhaar ka
ḳhalq ko hairan ‘sajid’ zad-ba-zad karta huun main
Leave a Reply