• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har kaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe

Har kaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe

poet

har kaḌe vaqt pe a.ina dikhaya hai mujhe

zindagi tu ne baḌe pyaar se barta hai mujhe

baḌh ke chume hain gham-e-ishq ne bhi mere qadam

gham-e-dauran ne bhi ankhon pe biThaya hai mujhe

rah-e-pur-pech pe hai zulf-e-rasa ka dhoka

dasht-e-aghosh-e-tamanna nazar aaya hai mujhe

apne gham-ḳhvar ke ashkon ko taka karta huun

gardish-e-vaqt ne palkon pe sajaya hai mujhe

ab kisi dard ka shikva na kisi gham ka gila

meri hasti ne baḌi der men paaya hai mujhe

main gham-e-dahr ki chadar men chhupa baiTha tha

raat bhar aa ke tiri yaad ne DhunDa hai mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Charagh-E-Shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal

poet

Ehsan Tera Dil Mera Kya Yaad Karega

Tan-E-Tanha Muqabil Ho Raha Hun Main Hazaron Se

Subh Ka Dhoka Hua Hai Sham Par

KHub Mushkil Hai Par Aasan Liya Jata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet