hamare sar pe tab koi jahan hota nahin tha
zamin hoti thi lekin asman hota nahin tha
ham aksar khel men haare hain us se is tarah bhi
vahin par DhunDte the vo jahan hota nahin tha
nikalte the hamare baat ke matlab hazaron
jo kahna chahte the vo bayan hota nahin tha
main ḳhali vaqt men TuuTe sitare joḌta tha
tumhara hijr aisa ra.egan hota nahin tha
ḳhuda bhi saath rahta tha hamare is zamin par
ye tab ki baat hai jab asman hota nahin tha
hamari qurbaten kya thiin faqat ik vaqi.a thiin
aur aisa vaqi.a jo dastan hota nahin tha
Leave a Reply