har jagah bandish-e-adab ki parva na karen
mahram-e-raz se behtar hai ki parda na karen
ishq ki kohna rivayat ko rusva na karen
baat to ye hai sar-e-dar bhi lab va na karen
maut bhi samne aa jaa.e to parva na karen
jan-ba-kaf dil ko misal-e-dil-e-parvana karen
dil pe hirs-o-hasd-e-badiya-paima na karen
is se behtar hai ki shaghl-e-mai-o-paimana karen
pursish-e-gham se mire gham ko do-bala na karen
ye karam aaj se a.inda dobara na karen
uThne lagta hai tumhen dekh ke mauhum sa dard
aaj se aap mire samne aaya na karen
dard uThta hai agar charagaron ko DhunDen
dard-e-ulfat hai to phir fikr-e-mudava na karen
vaqt ke haath men hai khoTe khare ki tasdiq
aap achchhe hain to achchha.i ka da.ava na karen
lag na jaa.e ruḳh-e-gul-rang ko apni hi nazar
apni surat kabhi a.ine men dekha na karen
chheḌ deti hai ye avaz-e-hazin ruuh ke taar
dam-e-ruḳhsat lab-e-gulrez ko goya na karen
dil-o-iman to nahin haan magar ai ahl-e-sitam
jaan hazir hai jo manzur ye nazrana karen
raz-e-sar-basta hai dil aur ye behtar hai ki ‘raz’
parda ham chehra-e-hasti se uThaya na karen
Leave a Reply