har janib virani bhi ho sakti hai
subh ki rangat dhani bhi ho sakti hai
jab kashti daali thi kis ne socha tha
dariya men tughyani bhi ho sakti hai
nae safar ke nae azaab aur nae gulab
surat-e-hal purani bhi ho sakti hai
har-pal jo dil ko dahlae rakhti hai
kuchh bhi nahin hairani bhi ho sakti hai
safar irada kar to liya par raston men
raat koi tufani bhi ho sakti hai
us ko mere naam se nisbat hai lekin
baat ye ani-jani bhi ho sakti hai
Leave a Reply