har ik shikast ko ai kaash is tarah main sahun
fuzun ho aur bhi dil men tiri talab ka fusun
tumhare jism ki jannat to mil ga.i hai magar
main apni ruuh ki dozaḳh ka kya ilaaj karun
hansa huun aaj to majbur tha ki tere huzur
mujhe ye Dar tha agar chup raha to ro na paḌun
tamam umr na bhaTke kahin tu meri tarah
huun kashmakash men jo kahna hai vo kahun na kahun
na ab pukar mujhe muddaton ki duuri se
tire qarib nahin huun ki teri baat sunun
tiri talash ko niklunga is se pahle magar
main teri yaad ke sahra men ḳhud ko DhunD to luun
vo dekh le to na ro.e bina rahe ‘azad’
main sochta huun ki ik baar ḳhud pe yuun bhi hansun
Leave a Reply