har ik gaam par hadisa ham-safar hai
kaThin kis qadar zindagi ki Dagar hai
kaTe kaise afsurda taron ki lau men
bahut hi bhayanak ruton ka safar hai
bhala kyuun na uljhe vo sanson se apni
pareshan ḳhud se jo koi bashar hai
hain aise men viraniyan dil ki lazim
shajar arzuon ka jab be-samar hai
hai ‘robina’ ka tajraba ye barabar
ki uljha hua zindagi ka safar hai
Leave a Reply