• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Har dhaDkan Haijaani Thi Har KHamoshi Tufani Thi

Har dhaDkan Haijaani Thi Har KHamoshi Tufani Thi

har dhaḌkan haijani thi har ḳhamoshi tufani thi

phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki asani thi

jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main

jis din us ka ḳhat aaya hai us din bhi virani thi

jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin

tab main ne har shaḳhs ki surat mushkil se pahchani thi

jis din vo milne aa.i hai us din ki rudad ye hai

us ka blouse naranji tha us ki saari dhani thi

uljhan si hone lagti thi mujh ko akasr aur vo yuun

mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki vafa dahqani thi

ab to us ke baare men tum jo chaho vo kah Daalo

vo angḌa.i mere kamre tak to baḌi ruhani thi

naam pe ham qurban the us ke lekin phir ye taur hua

us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se baḌi qurbani thi

mujh se bichhaḌ kar bhi vo laḌki kitni ḳhush ḳhush rahti hai

us laḌki ne mujh se bichhaḌ kar mar jaane ki Thani thi

ishq ki halat kuchh bhi nahin thi baat baḌhane ka fan tha

lamhe la-fani Thahre the qatron ki tughyani thi

jis ko ḳhud main ne bhi apni ruuh ka irfan samjha tha

vo to shayad mere pyase honTon ki shaitani thi

tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-ḳhana us ka tha

thi mere dil ki jo raani amrohe ki raani thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-sajjad-babar

Bujhti Hui Aankhon Ka Akela Wo diya Tha

Shabih-E-Ruh Kuchh Aise Nikhaar Di Gai Hai

muneer-niyazi

Imtihan Humne diye Is dar-E-Fani Mein Bahut

Hawa Hi Lau Ko ghaTati Wahi baDhati Hai

Kami Hai Kaun Si Ghar Mein Dikhane Lag Gae Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet