har dam duaen dena har lahza aahen bharna
un ka bhi kaam karna apna bhi kaam karna
haan kis ko hai mayassar ye kaam kar guzarna
ik bankpan se jiina ik bankpan se marna
jo ziist ko na samjhen jo maut ko na janen
jiina unhin ka jiina marna unhin ka marna
teri inayaton se mujh ko bhi aa chala hai
teri himayaton men har har qadam guzarna
sahil ke lab se puchho dariya ke dil se puchho
ik mauj-e-tah-nashin ka muddat ke baad ubharna
ai shauq tere sadqe pahuncha diya kahan tak
ai ishq tere qurban jiina hai ab na marna
har zarra aah jis ka labrez-e-tishnagi hai
us khaak ki bhi janib ai abr-e-tar guzarna
dariya ki zindagi par sadqe hazar janen
mujh ko nahin gavara sahil ki maut marna
ranginiyan nahin to ranaiyan bhi kaisi
shabnam si naznin ko aata nahin sanvarna
ashkon ko bhi ye jurat allah ri teri qudrat
ankhon tak aate aate phir dil men ja thaharna
ai jan-e-naz aa ja ankhon ki raah dil men
in khushk naddiyon se mushkil ho kiya guzarna
ham be-khudan-e-gham se ye raaz koi sikhe
jiina magar na jiina marna magar na marna
kuchh aa chali hai aahat us pa-e-naz ki si
tujh par khuda ki rahmat ai dil zara thaharna
khun-e-jigar ka hasil ik sher-e-tar ki surat
apna hi aks jis men apna hai rang bharna
Leave a Reply