har chehra na jaane kyuun ghabraya hua sa hai
bechain sa lagta hai taḌpaya hua sa hai
kya dhoka naya koi khaya hai mohabbat men
har uzv-e-badan us ka tharraya hua sa hai
a.ankhon men chamak si hai ruḳhsar men surḳhi si
aghosh men ulfat ki sharmaya hua sa hai
khilne ki tamanna thi zulfon ke gulistan men
dil TuuT gaya gul ka murjhaya hua sa hai
khulne men qabahat hai gesu-e-mohabbat ko
chehra shab-e-hasrat ka pathraya hua sa hai
alfaz ki a.ankhon se barsat hai ashkon ki
lahja gham-e-janan se bharraya hua sa hai
nafrat ki shuaon ki yalghar hai har jaan par
jis qalb men bhi jhanko kumhlaya hua sa hai
ilhad ka hamla hai ‘javed’ har ik janib
aalam ka ye aalam hai paglaya hua sa hai
Leave a Reply