har-chand ki ab mujh se sitam uTh nahin sakta
lekin tire kuche se qadam uTh nahin sakta
kya zo.af ne sharminda kiya sabr ke aage
furqat men jo ye bar-e-alam uTh nahin sakta
jo ka.aba men hai hai vahi but-ḳhane men jalva
ik parda hai so shaiḳh-e-haram uTh nahin sakta
tu hove ḳhafa aur na dar se tire uTThun
sar hi tire qadmon ki qasam uTh nahin sakta
aalam men luTa.i hai baḌi husn ki daulat
meri hi taraf dast-e-karam uTh nahin sakta
go pech to hai kucha-e-dildar men ya rab
uTTha to qadam su-e-iram uTh nahin sakta
‘arif’ ko jo dekha hai to chalne men hava hai
lekin tire kuche se qadam uTh nahin sakta
Leave a Reply