haq kisi ka ada nahin hota
varna insan se kya nahin hota
dil ka jaana to baat ba.ad ki hai
dil ka aana bura nahin hota
kya hua dil ko muddaten guzrin
zikr-e-mehr-o-vafa nahin hota
husn ke hain hazar-ha pahlu
ek pahlu ada nahin hota
ḳhud pe kya kya vo naaz karte hain
jab koi dekhta nahin hota
dil bujha ho to ḳhanda-e-gul bhi
chubhta hai jan-fiza nahin hota
DhunDh laati hai ek shoḳh nigah
lab pe jo mudda.a nahin hota
ḳhuun bahate hain be-gunahon ka
ye koi ḳhun-baha nahin hota
zindagi men hain talḳhiyan phir bhi
aadmi be-maza nahin hota
haq to ‘hamid’ ye hai ki haq ke siva
koi mushkil-kusha nahin hota
Leave a Reply