hain is hava men kya kya barsat ki baharen
sabzon ki lahlahahat baghat ki baharen
bundon ki jhamjhamavat qatrat ki baharen
har baat ke tamashe har ghaat ki baharen
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
badal hava ke uupar ho mast chha rahe hain
jhadiyon ki mastiyon se dhumen macha rahe hain
padte hain paani har ja jal-thal bana rahe hain
gulzar bhigte hain sabze naha rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
maare hain mauj dabar dariya daund rahe hain
mor-o-papihe koyal kya kya rumand rahe hain
jhad kar rahi hain jhadiyan naale umand rahe hain
barse hai munh jhada jhad badal ghumand rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jangal sab apne tan par hariyali saj rahe hain
gul phuul jhad-bute kar apni dhaj rahe hain
bijli chamak rahi hai badal garaj rahe hain
allah ke naqare naubat ke baj rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
badal laga takoren naubat ki gat lagaven
jhengur jhangar apni surnaiyan bajaven
kar shor mor bagule jhadiyon ka munh bulaven
pi pi karen papihe mendak malaren gaven
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
har ja bichha raha hai sabza hare bichhaune
qudrat ke bichh rahe hain har ja hare bichhaune
jangalon men ho rahe hain paida hare bichhaune
bichhva diye hain haq ne kya kya hare bichhaune
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
sabzon ki lahlahahat kuchh abr ki siyahi
aur chha rahi ghataen surkh aur safed kaahi
sab bhigte hain ghar ghar le mah-ta-ba-mahi
ye rang kaun range tere siva ilahi
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kya kya rakhe hain yarab saman teri qudrat
badle hai rang kya kya har aan teri qudrat
sab mast ho rahe pahchan teri qudrat
titar pukarte hain subhan teri qudrat
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koyal ki kuuk men bhi tera hi naam haiga
aur mor ki zatal men tera payam haiga
ye rang sau maze ka jo subh-o-sham haiga
ye aur ka nahin hai tera hi kaam haiga
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
bolin bae bateren qumri pukare ku-ku
pi pi kare papiha bagule pukaren tu-tu
kya hudhudon ki haq haq kya fakhaton ki hu-hu
sab rat rahe hain tujh ko kya pankh kya pakheru
kya kya machi hain yaaro barsat ki maren
jo mast hon idhar ke kar shor nachte hain
pyare ka naam le kar kya zor nachte hain
badal hava se kar kar ghanghor nachte hain
mendak uchhal rahe hain aur mor nachte hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
phulon ki sej uupar sote hain kitne ban-ban
so hain gulabi jode phulon ke haar abran
kitnon ke ghar hai khana sona lage hai angan
kone men pad rahi hain sar munh lapet sogan
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo khush hain vo khushi men kaate hain raat saari
jo gham men hain unhon par guzre hai raat bhari
sinon se lag rahi hain jo hain piya ki pyari
chhati phate hai un ki jo hain birah ki maari
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo vasl men hain un ke juude mahak rahe hain
jhulon men jhulte hain gahne jhamak rahe hain
jo dukh men hain so un ke siine phadak rahe hain
aahen nikal rahi hain aansu tapak rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
ab birhanon ke uupar hai sakht be-qarari
har buund marti hai siine upar katari
badli ki dekh surat kahti hain baari baari
hai hai na li piya ne ab ke bhi sudh hamari
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jab koyal apni un ko avaz hai sunati
sunte hi gham ko maare chhati hai umndi aati
pi pi ki dhun ko sun kar be-kal hain kahti jaati
mat bol ai papihe phatti hai meri chhati
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
hai jin ki sej suuni aur khali charpai
ro ro unhon ne har-dam ye baat hai sunai
pardesi ne hamari ab ke bhi sudh bhulai
ab ke bhi chhavni ja pardes men hai chhai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitnon ne apni gham se ab hai ye gat banai
maile kuchaile kapde ankhen bhi dabdabai
ne ghar men jhula daala ne odhni rangai
phuta pada hai chulha tuuti padi kadhai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
gaati hai giit koi jhule pe kar ke phera
maaro ji aaj kijiye yaan rain ka basera
hai khush kisi ko aa kar hai dard-o-gham ne ghera
munh zard baal bikhre aur ankhon men andhera
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
aur jin ko ab muhayya husnon ki dheriyan hain
surkh aur sunahre kapde ishrat ki gheriyan hain
mahbub dilbaron ki zulfen bikheriyan hain
jugnu chamak rahe hain raten andheriyan hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitne to bhang pi pi kapde bhigo rahe hain
bahen gulon men daale jhulon men so rahe hain
kitne birah ke maare sudh apni kho rahe hain
jhule ki dekh surat har aan ro rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
baithe hain kitne khush ho unche chhua ke bangle
piite hain mai ke pyale aur dekhte hain jangle
kitne phire hain bahar khuban ko apne sang le
sab shaad ho rahe hain umda gharib kangle
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitnon ko mahlon andar hai aish ka nazara
ya saeban suthra ya baans ka usara
karta hai sair koi kothe ka le sahara
muflis bhi kar raha hai pole tale guzara
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
chhat girne ka kisi ja ghul shor ho raha hai
divar ka bhi dhadka kuchh hosh kho raha hai
dar dar haveli vaala har aan ro raha hai
muflis so jhopde men dil-shad so raha hai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
muddat se ho raha hai jin ka makan purana
uth ke hai un ko menh men har aan chhat pe jaana
koi pukarta hai tuk mori khol aana
koi kahe hai chal bhi kyuun ho gaya divana
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi pukarta hai lo ye makan tapka
girti hai chhat ki mitti aur saeban tapka
chhalni hui atari kotha nidan tapka
baaqi tha ik usara so vo bhi aan tapka
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
uncha makan jis ka hai pach khana sivaya
uupar ka khan tapak kar jab paani niche aaya
us ne to apne ghar men hai shor-ghul machaya
muflis pukarte hain jaane hamara
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
sabzon pe biir bhuti tilon upar dhaturē
pissu se machchharon se roe koi basore
bichchhu kisi ko kaate kiida kisi ko ghure
angan men kansalai konon men khankhajure
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
phunsi kisi ke tan men sar par kisi ke phode
chhati ye garmi daane aur piith men darode
kha puriyan kisi ko hain lag rahe marode
aate hain dast jaise dauden iraqi ghode
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
patli jahan kisi ne daal aur kadhi pakai
makkhi ne vohin boli aa uunt ki bulai
koi pukarta hai kyuun khair to hai bhaai
aise jo khanste ho kya kaali mirch khaai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jis gul-badan ke tan men poshak sausani hai
so vo pari to khasi kali-ghata bani hai
aur jis pe surkh joda ya uudi odhni hai
us par to sab ghulavat barsat ki chhani hai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
badanon men khab rahe hain khubon ke laal jode
jhamken dikha rahe hain pariyon ke laal jode
lahren bana rahe hain ladkon ke laal jode
ankhon men chubh rahe hain pyaron ke laal jode
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
aur jis sanam ke tan men joda hai zafrani
gulnar ya gulabi ya zard surkh dhani
kuchh husn ki chadhai aur kuchh nai javani
jhulon men jhulte hain uupar pade hai paani
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi to jhulne men jhule ki dor chhode
ya sathiyon men apne paanv se paanv jode
badal khade hain sar par barse hain thode thode
bundon men bhigte hain laal aur gulabi jode
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitnon ko ho rahi hai us aish ki nishani
sote hain saath jis ke kahti hai vo siyani
is vaqt tum na jaao ai mere yar-e-jani
dekho to kis maze se barse hai aaj paani
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitne sharab pi kar ho mast chhak rahe hain
mai ki gulabi aage pyale chhalak rahe hain
hota hai naach ghar ghar ghunghru jhanak rahe hain
padta hai menh jhada-jhad table khadak rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
hain jin ke tan mulaem maide ki jaise loi
vo is hava men khasi odhe phire hain loi
aur jin ki muflisi ne sharm-o-haya hai khoi
hai un ke sar pe sar ki ya boriye ki khoi
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitne phire hain odhe paani men surkh pattu
jo dekh surkh badli hoti hai un pe lattu
kitnon ki gaadi rath hain kitnon ke ghode tattu
jis paas kuchh nahin hai vo ham sa hai nikhattu
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo is hava men yaaro daulat men kuchh badhe hain
hai un ke sar pe chhatri hathi pe vo chadhe hain
ham se gharib ghoraba kichad men gir pade hain
hathon men jutiyan hain aur paenche chadhe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
hai jin kane muhayya pakka pakaya khana
un ko palang pe baithe jhadiyon ka khat udana
hai jin ko apne ghar men yaan lon tel laana
hai sar pe un ke pankha ya chhaj hai purana
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitne khushi se baithe khate hain khush mahal men
kitne chale hain lene baniye se qarz pal men
kandhe pe daal aata haldi girah ne mal men
hathon men ghi ki pyali aur lakdiyan baghal men
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo kasbiyan javanen husnon men purtiyan hain
sinon men laal angiyan aur laal kurtiyan hain
nazren bhi badliyan hain dil men bhi surtiyan hain
ik ik nigah men kafir bijli ki phurtiyan hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo naujavan hain un ki tayyariyan badi hain
hathon men laal chhadiyan kothon pe vo khadi hain
aur vo jo ashna se jhagdi hain ya ladi hain
munh ko chhupa palang par machli hui padi hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi apne ashna se kar naaz ka jhapatta
kahti hai hans ke kafir chutki le ya nihatta
tum se to dil hamara ab ho gaya hai khatta
tum aaj bhi na laae ranva mira dupatta
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kahti hain koi mujh ko joda soha bana do
ya taat baafi juuta ya kafsh-e-surkh la do
koi kahe hai meri kurti abhi ranga do
ya garm se andarse ik sair bhar manga do
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo un ke mubtala hain sab chiiz la rahe hain
kurti bana rahe hain angiya ranga rahe hain
jo jo hain un ki baten sab kuchh utha rahe hain
bahen gale men daale ishrat mana rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitnon ne qaul bandha maamuli de ke paise
kahte hain shaad ho kar yuun apne ashna se
barsat-bhar to mil ke sunte ho jaan pyare
ahmaq ho jo palang se ab mutne ko utre
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
ye sun ke un se hans hans kahti hai shokh randi
maamuli ab to le kar bandi bhi hai ghamandi
ham pahnen laal joda tum pahno khasi bandi
khandi ho jo tumhari chhati kare na thandi
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
zardar ki to un men hai bichh rahi palangadi
dilbar pari si baithi jhamkae chudi nibagadi
muflis ki tuuti patti ya taat ki jhalangadi
randi mili to kaali ya kunji luuli langdi
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kurti gulabi jin men gote lage hue hain
angiyan ke gard jhute gote take hue hain
kahti hain un se hans hans jo jo kate hue hain
la ab to mere tujh par barah take hue hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jo begami hai ghar men aram kar rahi hai
pardon men doston se paigham kar rahi hai
chitvan lavaton se sau daam kar rahi hai
chupke hi chupke apna sab kaam kar rahi hai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kahta hai koi apne mahbub sim-bar se
vo is menh men na jaao pyare hamare barse
koi kahe hai apne dildar-e-khush-nazar se
hathon se mere jaani kha le ye do andarse
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kahta hai koi pyari jo kuchh kaho sau la den
zar-dozi tat-bafi juuta kaho pahna den
peda jalebi laddu jo khaao so manga den
chira dupatta jaama jaisa kaho ranga den
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jin dilbaron ke tan par hain garmi daane aale
kahte hain un ko ashiq yuun pyaar se bula le
kya menh baras raha hai pyare zara naha le
chhati nahin to pyare tuk piith hi mila le
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
is rut men hain jahan tak gulzar bhigte hain
shahr-o-dayar kuche bazar bhigte hain
sahra-o-jhad buute kohsar bhigte hain
ashiq naha rahe hain dildar bhigte hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kahti hai jab vo sun kar ye baat bhiig ahmaq
marungi tere aa kar ik laat bhiig ahmaq
mujh ko bhi zid chadhi hai din-rat bhiig ahmaq
yunhi to ab ke saari barsat bhiig ahmaq
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
zardar ki to sun kar avaz vo pari-ru
kahti hai laundiyon se jaldi kivad kholo
muflis koi pukare to is se kahti hai vo
hargiz koi na bolo ahmaq ko bhigne do
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi yaar se kahe hai ai dil-sitan aao
badli badi uthi hai kahne ko maan aao
kya menh baras raha hai har ik makan aao
raten andheriyan hain ai meri jaan aao
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi raat ko pukare pyare main bhigti huun
kya teri ulfaton ke maare main bhigti huun
aai huun teri khatir aa re main bhigti huun
kuchh to taras tu miira kha re main bhigti huun
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi pukarti hai dil sakht bhigti huun
kanpe hai meri chhati yak-lakht bhigti huun
kapde bhi tar-ba-tar hain aur sakht bhigti huun
jaldi bula le mujh ko kambakht bhigti huun
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
shisha kahin gulabi botal jhamak rahi hai
rabil motiya ki khushbu mahak rahi hai
chhati se chhati lag kar ishrat chhalak rahi hai
paae khatak rahe hain patti chatak rahi hai
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
koi pukarti hai kya kya mujhe bhigoya
koi pukarti hai kaisa mujhe bhigoya
nahaq qarar kar ke jhuta mujhe bhigoya
yuun duur se bula kar achchha mujhe bhigoya
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
jin dilbaron ki khatir bhige hain jin ke jode
vo dekh un ki ulfat hote hain thode thode
le un ke bhige kapde hathon men dhar nichode
chira koi sungave jaama koi nichode
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kichad se ho rahi hai jis ja zamin phisalni
mushkil hui hai vaan se har ik ko raah chalni
phisla jo paanv pagdi mushkil hai phir sambhalni
joti giri to vaan se kya taab phir nikli
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kitne to कीचड़ों ki daldal men phans rahe hain
kapde tamam gandi daldal men bas rahe hain
kitne uthe hain marmar kitne ukas rahe hain
vo dukh men phans rahe hain aur log hans rahe hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
kahta hai koi gir kar ye ai khudae liijo
koi dagmaga ke har-dam kahta hai vaae liijo
koi haath utha pukare mujh ko bhi haae liijo
koi shor kar pukare girne na paae liijo
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
gir kar kisi ke kapde daldal men hain moattar
phisla koi kisi ka kichad men munh gaya bhar
ik do nahin phisalte kuchh is men aan aksar
hote hain saikdon ke sar niche paanv uupar
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
ye rut vo hai ki jis men khurd-o-kabir khush hain
adna gharib muflis shah-o-vazir khush hain
maashuq shad-o-khurram ashiq asiir khush hain
jitne hain ab jahan men sab ai ‘nazir’ khush hain
kya kya machi hain yaaro barsat ki baharen
Leave a Reply