• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hanso to Sath Hansnegi Duniya baiTh Akele Rona Hoga

Hanso to Sath Hansnegi Duniya baiTh Akele Rona Hoga

hanso to saath hansnegi duniya baiTh akele rona hoga

chupke chupke baha kar aansu dil ke dukh ko dhona hoga

bairan riit baḌi duniya ki aankh se jo bhi Tapka moti

palkon hi se uThana hoga palkon hi se pirona hoga

khone aur paane ka jivan naam rakha hai har koi jaane

us ka bhed koi na dekha kya paana kya khona hoga

bin chahe bin bole pal men TuuT phuuT kar phir ban jaa.e

balak soch raha hai ab bhi aisa koi khilauna hoga

pyaron se mil jaa.en pyare anhoni kab honi hogi

kanTe phuul banenge kaise kab sukh sej bichhauna hoga

bahte bahte kaam na aa.e laakh bhanvar tufani-sagar

ab manjdhar men apne hathon jivan naav Dubona hoga

jo bhi dil ne bhuul men chaha bhuul men jaana ho ke rahega

soch soch kar hua na kuchh bhi aao ab to khona hoga

kyuun jite-ji himmat haren kyuun fariyaden kyuun ye pukaren

hote hote ho ja.ega aḳhir jo bhi hona hoga

‘mira-ji’ kyuun soch sata.e palak palak Dori lahra.e

qismat jo bhi rang dikha.e apne dil men samona hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Bataun Mujhe Kya Lagta Hai

Thahar Thahar Ke Mera Intizar Karta Chal

Wahi Dasht-E-Bala Hai Aur Main Hun

meer-hasan

Hai dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-Jabin Aur

poet

Jazb-E-Ulfat Ne dikhaya Asar Apna Ulta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet