be-nava.i ne miri had se guzar jaane diya
vo jo mujh se chahta tha main ne kar jaane diya
phir kureda aur ji-bhar kar namak-pashi bhi ki
pahle us ne mere dil ke zaḳhm bhar jaane diya
rok kar rasta bata dete ki ḳhud ko jaan le
tum ne kaise us ko ḳhud se be-ḳhabar jaane diya
ab ḳhata-kari se koi rokne vaala nahin
ruuh ki zinda sada ko main ne mar jaane diya
jaan ki baazi laga kar bhi bacha laate use
tum ne gahre paniyon men kyuun utar jaane diya
kaisi ara.ish hui be-shana-o-be-a.ina
gesuon ko us ne bikhra kar sanvar jaane diya
faisla Talta raha shunava.i ki taḳhir se
ḳhud adalat ne gavahon ko mukar jaane diya
vo to aaya tha jala kar apni saari kashtiyan
tum ne kis dil se use ba-chashm-e-tar jaane diya
Leave a Reply