hansi thami hai in ankhon men yuun nami ki tarah
chamak uthe hain andhere bhi raushni ki tarah
tumhara naam hai ya asman nazron men
simat gaya meri gum-gashta zindagi ki tarah
kohar hai dhund dhuan hai vo jis ki shakl nahin
ki dil ye ruuh se lipta hai ajnabi ki tarah
tumhare hathon ki sarhad ko pa ke thahri huiin
khalaen zinda ragon men hain sansani ki tarah
Leave a Reply