altaf-o-karam ghaiz-o-ghazab kuchh bhi nahin hai
tha pahle bahut kuchh magar ab kuchh bhi nahin hai
barsat ho suraj se samundar se uge aag
mumkin hai har ik baat ajab kuchh bhi nahin hai
dil hai ki haveli koi sunsan si jis men
ḳhvahish hai na hasrat na talab kuchh bhi nahin hai
ab ziist bhi ik lamha-e-sakit hai ki jis men
hangama-e-din garmi-e-shab kuchh bhi nahin hai
sab quvvat-e-bazu ke karishmat hain ‘rahi’
kya chiiz hai ye nam-o-nasab kuchh bhi nahin hai
Leave a Reply