haan mahfil-e-yaran men aisa bhi maqam aaya
main ḳhud ko bhula baiTha jab bhi tira naam aaya
main apne hi paikar se is darja pareshan tha
socha ki bikhar ja.un jab bhi tah-e-dam aaya
duniya men hazaron hain mansur bhi sarmad bhi
kyuun lauh-e-sadaqat par ik mera hi naam aaya
kya jism ke zindan se azad kiya mujh ko
kya koi sar-e-maqtal yaaro mire kaam aaya
har shaḳhs ke chehre par ik karb ka manzar hai
shayad lab-e-geti par taḳhrib ka naam aaya
Leave a Reply