haan diid ka iqrar agar ho to abhi ho
aur yuun ho ki didar agar ho to abhi ho
taqdir se Darta huun ki phir mat na palaT jaa.e
tum dil ke ḳharidar agar ho to abhi ho
didar ko kal kah ke qayamat pe vo Talen
aur shauq ka israr agar ho to abhi ho
badla hua har ahd naya laata hai paigham
ye kya ki har iqrar agar ho to abhi ho
aa lene to do ‘arzu’ azar men lazzat
tum naam se bezar agar ho to abhi ho
Leave a Reply