• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hamin the Jaan-E-Bahaaran Hamin the Rang-E-Tarab

Hamin the Jaan-E-Bahaaran Hamin the Rang-E-Tarab

hamin the jan-e-baharan hamin the rang-e-tarab

hamin hain bazm-e-mai-o-gul men aaj mohr-ba-lab

vahi tujhe bhi nazar aa.e be-adab jo log

faqih-e-shahr se uljhe tiri gali ke sabab

ḳhayal-o-fikr ke phir silsile sulag na uThen

ki chubh rahi hai dilon men hava-e-gesu-e-shab

bas ek jaam ne rindon ki aabru rakh li

vagarna kam na tha vaa.iz ka shor-e-ghaiz-o-ghazab

chalo kali ke tabassum ka raaz puchh aa.en

gulon ke qafile chal den chaman se jaane kab

abhi se dhaḌkanen ḳhamosh hoti jaati hain

ajiib hoga saman vo bhi tum na aaoge jab

hamen hi tab-e-sama.at na ho saki ‘rahat’

fasana-ḳhvan ne to chheḌa tha zikr-e-ahd-e-tarab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sare Ushshaq Se Hum Achchhe Hain

KHud ko socha hai ki ab tanha karun

Sufi

Lokan dhan Shah Ek Wajud Hain

Kiran to Ghar Ke Andar Aa Gai Thi

Junun Pe Aql Ka Saya Hai Dekhiye Kya Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet