hamen nasib koi dida-var nahin hota
jo dastaras men hamari hunar nahin hota
main roz us se yahin ham-kalam hota huun
darun-e-ruh kisi ka guzar nahin hota
jala diye hain kisi ne purane khat varna
faza men aisa to raqs-e-sharar nahin hota
mohabbaton ke kai ism main ne padh daale
ajab tilism hai va is ka dar nahin hota
agar main shab ki siyahi na chiir kar niklun
koi ujala mira ham-safar nahin hota
kisi ke naqsh-e-qadam ki thi justuju varna
main is tarah to ‘sukhan’ dar-ba-dar nahin hota
Leave a Reply