hamen apni masafat be-maza karna nahin hai
safar karna hai manzil ka pata karna nahin hai
bala se ham kisi sahil pe pahunchen ya na pahunchen
kisi bhi naḳhuda ko ab ḳhuda karna nahin hai
havaon se hi qaa.em hai hamari zau-fishani
havaon se charaghon ko juda karna nahin hai
badalte vaqt ke tevar parakhna chahte hain
kaha kis ne buzurgon ka kaha karna nahin hai
tumhin zamin ho meri zindagi ke mere ḳhvabo
tumhen ik pal bhi ankhon se riha karna nahin hai
ka.i ashufta-sar mil ja.enge raste men ‘alam’
kisi ke vaste ham ko sada karna nahin hai
Leave a Reply