• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hamdamo Kya Mujhko Tum Un Se Mila Sakte Nahin

Hamdamo Kya Mujhko Tum Un Se Mila Sakte Nahin

poet

hamdamo kya mujh ko tum un se mila sakte nahin

main to ja sakta huun vaan gar yaan vo aa sakte nahin

sharm hai un ko bahut har-dam chimatne se mire

vo tadapte hain va-lekin ghul macha sakte nahin

haath men hai haath aur koi nahin hai as-pas

vo to hain qaabu men par ham ji chala sakte nahin

chaudhvin hai raat aur chhitki hui hai chandni

ham kamand ab un ke kothe par laga sakte nahin

kyuun miyan-‘rangin’ bhala ab is zamin men soch se

kya ghazal tum hasb-e-hal apni suna sakte nahin

bas main hain vo ghair ke ham ko bula sakte nahin

aur ham us ja kisi surat se ja sakte nahin

ham ko un se un ko ham se jitni ulfat hai use

vo ghata sakte hain lekin ham ghata sakte nahin

ghair se ham ko dilate hain vo lakhon galiyan

pichhli baten yaad ham un ko dila sakte nahin

but bane hain yuun to ham baten banate hain hazar

baat lekin vasl ki aslan bata sakte nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dagh-E-Dil Hum Ko Yaad Aane Lage

Ye Teri Yaad Hai Tera KHayal Hai Kya Hai

poet

KHana-E-Dil Ka Jo Tawaif Hai

poet

Dil Muzmahil Hai Teri Nawazish Ke Bawajud

Pechaak-E-Umr Apne Sanwar Aaine Ke Sath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet