hamari jab hamari ab hamari kab se kya matlab
gharaz un ko gharaz se kya gharaz matlab se kya matlab
aziz-o-aqriba par be-sabab vo zulm Dhata hai
ḳhata-var-e-mohabbat to hamin hain sab se kya matlab
agar ham jaan dete hain to un ke husn-e-surat par
hamen bartav se andaz se ya Dhab se kya matlab
ḳhuda ka naam bhi lete hue main hichkichata huun
vo puchhenge tumhara na.ara-e-yarab se kya matlab
vafa.en kijiye pichhli jafa.en bhuul ja.engi
agar matlab hai to ab se hamen hai jab se kya matlab
alag aana alag jaana alag rahna alag phirna
rah-e-ulfat men sab ko ham se ham ko sab se kya matlab
jo mazmun-e-ḳhat-e-pur-shauq mera vo nahin paḌhta
ye matlab hai ki mujh ko ma.ani-o-matlab se kya matlab
agar main puchhta huun aap mere ghar kab a.enge
to vo kahte hain a.enge magar is kab se kya matlab
na maz.hab hai na mashrab hai koi ham bada-ḳhvaron ka
hamen mashrab se kya nisbat hamen maz.hab se kya matlab
amir-e-ḳhud-gharaz hi ko gharaz matlab se matlab hai
faqir-e-be-gharaz ko hai gharaz matlab se kya matlab
zamana gharq-e-bahr-e-gham jo hota hai to hone do
tum apni ḳhair mango ‘nuh’ tum ko sab se kya matlab
Leave a Reply