hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga
bashar hain ham bhi sahab dekhiye nahaq ka shar hoga
na mud kar tu ne dekha aur na main tadpa na khanjar
na dil hovega tera sa na mera sa jigar hoga
main kuchh majnun nahin huun jo ki sahra ko chala jaun
tumhare dar se sar phodunga sauda bhi agar hoga
chaman men laai hogi to saba-mashshatgi kar ke
jo gul se aage lipta hai kisi bulbul ka par hoga
tari ka bhi vahi malik hai jo malik hai khushki ka
madad-gar apna har mushkil men shah-e-bahr-o-bar hoga
tasavvur zulf ka gar chhod duun mizhgan ka khatka hai
jo sar ke dard se fursat mili dard-e-jigar hoga
tabibo tum abas aae main kushta huun firangan ka
miri tadbir karne ko muqarrar doctor hoga
kisi ko koste kyuun ho dua apne liye mango
tumhara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga
maza aaega divanon ki baton men pari-zado
jo ‘agha’ ka kisi din dasht-e-majnun men guzar hoga
Leave a Reply