hamare dil men koi aarzu nahin baaqi
hamare phuul men ab rang-o-bu nahin baaqi
bahut kahi dil-e-nadan adu nahin baaqi
mira adu mire pahlu men tu nahin baaqi
tumhare tiir ki ab aarzu nahin baaqi
hua hai piip kaleja lahu nahin baaqi
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf bara-e-vuzu nahin baaqi
dhara hai kya mire ghar men ki mohtasib lega
pur-az-sharab vo jam-o-subu nahin baaqi
vo rah ke ghair ki sohbat men ho gae kuchh aur
vo baat pichhli si agli si khu nahin baaqi
thaka pada huun to vamandgi ye kahti hai
unhen kisi ki bhi ab justuju nahin baaqi
jo mai ki buund na nikli to pad gaya paani
ba-hal-e-khvesh subu ab subu nahin baaqi
hamari aap ki baat uth rahi hai mahshar par
hamari aap ki kuchh guftugu nahin baaqi
jo nikle khaar to daman se suiyan uljhin
jagah zara si kahin be-rafu nahin baaqi
badhi hai baat qayamat men jhute vaade par
vo munfail hai to kuchh guftugu nahin baaqi
ye mohtasib hai abas ghar ko sunghta phirta
ki bund-bar bhi mai-e-mushk-bu nahin baaqi
hua hai aaine ke saath aks ko sakta
kisi men jaan tire ru-ba-ru nahin baaqi
bahen sharab ke dariya to ham ko lutf nahin
ki sabza kuchh bhi lab-e-abju nahin baaqi
badhi hai pak-nihadi ye bada-noshon ki
ki ab namaz men qaid-e-vuzu nahin baaqi
hamari aankh men tarik bazm-e-alam hai
jo zeb-e-bazm the vo shama-ru nahin baaqi
‘riyaz’ maut ko kyuun maut aai jaati hai
hamen to maut ki bhi aarzu nahin baaqi
Leave a Reply